Ranjish he sahi Dil he dukhany k liye aa.
Aa phir say mujhay chor k jany k liye aa.
Pehlay say marasim na sahi phir bhi kabhi to.
Rasm-o-rahy dunya he nibhany k liye aa.
Khuch to mery pindar-a-mohabbat ka bharam rakh.
To bhi to kabhi mujh ko manany k liye aa.
Ek umar say hn lazzat-a-girya sy bhi mehroom.
Ay raaht-a-jan mujh ko rulany k liye aa.
Ab tak dil-a-khush feham ko hain tujh say umeedain.
Yeh aakhri shamain bhi bhujany k liye aa.
Maana k mohabbat ka chupana hai mohabbat.
Chupkay say kisi roz jatany k liye aa.
Jaisay tujhy aatay hain na aany k bahany.
Aesy ksi roz na jany k liye aa.
No comments:
Post a Comment